what is full form of atm
What Is ATM –
- paisa nikaalna
- paisa jama karna
- ATM pin generate karna ya badalna
- Apne Bank account ka Balance Check Karna
- Sms Alert Activate Karna
- Internet Banking Password Change karna
- Sms Banking Activate Karna
- Last 5 deduction Pata Karna
- Printed Form me Account balance pata karna
ATM Card Kya Hai – jab aap bank me atm ke liye apply karte hai to apko bank ke dwara ek card diya jata hai jise Atm card kehte hai , ATM card se hi aap atm machine dwara banking subhidha ka laab le sakte hai atm card me ek cumbki patti hoti hai jiske aapke account ki information feed rahti hai jab aap atm machine me apna card dalte hai to atm machine me laga computer apki detail ko padta hai aur apke banking gatividhi ko suru karta hai
ATM pin – Atm card ke saath apko atm pin bhi di jati hai jo ki password ki tarah hoti hai ue 4 digit ki hoti hai jab aap atm se koi bhi kaam karenge to apko pehle pin enter karni padegi aap apne atm pin ko samay samay par atm machine se badal sakte hai
yaad rakhiye Atm pin ko kabhi kisi ke saath saajha na kare kyunki isse apke bank account ko khatra ho sakta hai kyunki dusra person apke pin se apke khate se paisa nikaal sakta hai
Bank me to ek time fix rahta hai lekin aap ATM se 24*7 banking kaam kar sakte hai
To Dosto Iss Tarah aap ne jana ki kaise aap ATM ke dwara apne bahut saare banking kaam bina bank jaaye kar sakte hai wo bhi bahut kam samay me.